Khushiyan kam aur armaan bahut hain,
Jise bhi dekhiye yahan hairan bahut hai,
Kareeb se dekha to hai rait ka ghar,
Door se magar shan bahut hai,
Kehte hain sach ka koi saani nahi,
Aaj to jhooth ki aan-baan bahut hai,
Mushkil se milta hai shehar mein aadmi,
Yun to kehne ko insan bahut hain,
Tum shauk se chalo raah-e-wafaa lekin
Zara sambhal ke chalna tufaan bahut hain,
Waqt pe na pehchane koi yeh alag baat,
Waise to shehar mein apni pehchane bahut hai.